'Poppies' by Vincent Van Gogh
सिर पटको वो कहीं नहीं है; जो दिख भी रही है।सदियों हुए वो मर भी चुकी है; और दिख भी रही है।
फर्क है देखो नाम के हिज़्जे; जो दिख भी रही है।
सुनो अलग कबीले की है; जो दिख भी रही है।
लाल फूल के पीछे छिपी है; और दिख भी रही है।
कांटों से क्या खूब सजी है; जो दिख भी रही है।
पड़े हैं ताले दरवाजों पे, और दिख भी रही है।
खिड़की गुम है दीवारों की; और दिख भी रही है।
पर्ची, चिट्ठी नहीं न लेगी; जो दिख भी रही है।
फरियाद कोई नहीं सुनेगी; जो दिख भी रही है।
छिपन छिपाई खेल रही है; और दिख भी रही है।
धप्पा तुमको नहीं कहेगी; और दिख भी रही है।
यूं ही अकेली खड़ी रहेगी; जो दिख भी रही है।
तुमसे दूरी बना रखेगी; जो दिख भी रही है।
कबका विदा वो कह जो चुकी है; और दिख भी रही है।
कब्र में तुम जो दफन पड़े हो; और दिख भी रही है?
Roman script follows:-
Sir patko vo kahin nahi hai; Jo dikh bhi rahi hai.
Sadiyon pehle mur bhi chuki hai; aur dikh bhi rahi hai.
Farak hai dekho naam ke hijje; Jo dikh bhi rahi hai.
Suno alag kabile ki hai; Jo dikh bhi rahi hai.
lalaphool ke picche chipeei hai; aur dikh bhi rahi hai.
kaanton se kya khoob saji hai;Jo dikh bhi rahi hai.
pade hain taale darwajon pe, aur dikh bhi rahi hai.
Khidki gum hai deewaron ki; aur dikh bhi rahi hai.
Parchi chiithi nahi n legi; Jo dikh bhi rahi hai.
Fariyad koi nahi sunegi; Jo dikh bhi rahi hai.
Chipan chupai khel rahi hai; aur dikh bhi rahi hai.
Dappa tumko nahi kahegi; aur dikh bhi rahi hai.
yoon he akeli khadi rahegi; Jo dikh bhi rahi hai.
Tumse doori bana rakhegi; Jo dikh bhi rahi hai.
Kabka vida vo keh jo chuki hai; aur dikh bhi rahi hai.
kabr tum jo dafan pade ho ; aur dikh bhi rahi hai?
No comments:
Post a Comment
You are welcome to add a byte to our bark. You can agree, disagree, be critical, humorous or sarcastic. Add information or correct information. We do not have a copy editor so we'll not edit a single word of yours. We however have an in-house butcher who'll entirely cut away any abusive post. Come to think of it, most editors have the finesse of a butcher anyway!